Aaj..
Aaj ek khaas din hai mere ek dost k liye. Soch to yahi raha hoon k kya bataoon...kya likhu...kin shabdo se sajau is din ko...
Ek naya ehsaas hoga use..phir ek naya kadam apne bhavishya ki aur
"27 years
ya 324 months
ya 1408 weeks 6 days
ya 9,862 days
ya 236,688 hours
ya 14,201,280 minutes
ya 852,076,800 seconds......
Janta hu tumhe kuch samay se,
Shayad Samajhta bhi hu tumhe kuch samay se,
Anjaane se pehchaane tak,
Ek rishta sa jud gaya kuch samay se.....
Aaj dua karta hu rab se,
Tumhari har tammanna puri ho ab se,
Bas yahi chahat hai meri,
Muskaan kabhi na jaye kabhi in lab se......"
Aaj....ek shaksh ke barein mein bhi likhna chahta hu...ya yoon kaho ke unki nazar se bayaan karna chahta hu. Ek vaada chahiye bas tumse, ki khabardaar agar tumne apni aankhein nam ki...
"Aaj hi ke din tumhe dekha tha,
Jab tum mujhse pehli baar mili thi,
Mano ek anmol Tohfa mila ho mujhe,
Ek kabhi na khatm honewali khushi mili thi....
Nanhe haathon ne mujhe chua tha,
Ek pyara sa ehsaas hua tha,
Mere khushiyon ki seema nahi thi,
Jab pehli baar tumhe chuma tha...
Tumhe dekh kar maine apni zindagi jee,
Duniya ke dukho se tumhari raksha ki,
Chahti hoon har khushi mile jahan tumhe,
Apni duaon mein rab se yahi prarthna ki.....
Aaj door bhale hoon main tumse,
Lekin saath abhi choota nahi,
Vaada lena chahti hoon main tumse,
Ke ab ek bhi aur ansu behna nahi.....
Aaj janmdin hai tumhara, aaj tumhara din hai,
Bhardo jholi sabki tum khushiyo se, yehi umeed hai,
Main hoon tumhare saath har kadam per,
Bas badte rehna tum zindagi mein apne dam per....
................Dher saari Badhaiyaan aur shubhkamnaye!!!!!

Comments
Post a Comment