Phir bhi Tenu Tak da Ravaa....




Kuch shabd aur baaki reh gaye hai,
Kuch baatein aur bhi kehni hai,
Rukh per noor aisa paya hai ke,
Bas...tenu tak da ravaaa....

Dekh kar tujhe lagta hai yoon,
Roshni si bikhar gayi ho fiza mein,
Jaise Baahar aa gayi ho kiza mein,
Iss alam mein...bas tenu tak da ravaa...

Jhoka hawa ka kuch aisa aya,
khushboo tumhari sang laya,
khich liya mujhe teri oor,
Bas....Tenu tak da ravaa...

Doobta jaa raha hoon inn ankhon mein,
Pata nahi ab nazarein kaisa hathaooo,
Bandh karke bhi dekh liya apni ankhon ko,
Phir bhi bandh ankon se...tenu tak da ravaa.....
Phir bhi tenu tak da ravaa......


Comments