Adaa...!!

Samet liya ek chehra aaj apni ankhon mein,
Samet li har ek adaa apni ankhon mein,
Awaz uski ghul si gayi mere kaano mein,
Dekhta hi raha unhe Bas, pighal raha hu main Bas...

Ab intezaar rehta hai shaam ke aane ka,
Ek Surat ka deedar hota hai,
Thamlu waqt ko us ek pal mein,
Ke jaata lamha ruk  jaaye...

Sukhe patte ki tarah tha  mein,
Tum aye to bahaar aa gayi hai,
Ye dekh ke dil jhooma,
Li  pyaar ne angdaai....

Comments