Abhi kal ki hi baat hai,
Jab tune phone kiya tha..
Abhi kal ki hi baat hai,
Tu chala gaya.....
Kabhi yaad na aaye wo pal,
Jo ab sab yaadein lag rahe hai,
Aaj sab yaad aa raha hai,
Jaise abhi kal ki hi baat hai...
Tu shant khamosh soya tha,
Lapeta hua ek Chaadar mein,
Abhi uthke tu khelne chalega saath,
Jaise hui ho kal ki hi baat...
Tujhe rote na dekha tha maine,
Aaj rhudan ho raha hai tere chaaro or,
Ek maa se chuta sahara, ek Baap ka abhimaan,
Ek Behan ki raakhi chuti, ek patni ka Suhaag...
Roya na tha main abhi tak kabhi,
Gham na tha kisi ke jaane ka,
Tu yeh kaisa dost nikla,
Rula gaya saale....
Dhua nikal raha tha,
Sharir jal raha tha,
Shaant pada tha tu,
Dheere Dheere kho raha tha.......
Ab na milega tu company mein,
Na hi chala raha hoga CNC,
Sirf baatein yaad rahegi ab,
Jaise hui ho kal ki hi baat....
Ek Dost....Rula Gaya....!!!!!
Jab tune phone kiya tha..Abhi kal ki hi baat hai,
Tu chala gaya.....
Kabhi yaad na aaye wo pal,
Jo ab sab yaadein lag rahe hai,
Aaj sab yaad aa raha hai,
Jaise abhi kal ki hi baat hai...
Tu shant khamosh soya tha,
Lapeta hua ek Chaadar mein,
Abhi uthke tu khelne chalega saath,
Jaise hui ho kal ki hi baat...
Tujhe rote na dekha tha maine,
Aaj rhudan ho raha hai tere chaaro or,
Ek maa se chuta sahara, ek Baap ka abhimaan,
Ek Behan ki raakhi chuti, ek patni ka Suhaag...
Roya na tha main abhi tak kabhi,
Gham na tha kisi ke jaane ka,
Tu yeh kaisa dost nikla,
Rula gaya saale....
Dhua nikal raha tha,
Sharir jal raha tha,
Shaant pada tha tu,
Dheere Dheere kho raha tha.......
Ab na milega tu company mein,
Na hi chala raha hoga CNC,
Sirf baatein yaad rahegi ab,
Jaise hui ho kal ki hi baat....
Ek Dost....Rula Gaya....!!!!!
Comments
Post a Comment