Ajnabee...!!!

Kab kaha kaise,
Na jaane kyu ban gaye,
Kirdaar the hamare kuch aur,
Ajnabee tum kyu ban gaye...

Anjaan the kabhi mujhse tum,
Ek mulaqaat hui thi darmiyaan,
Kuch yoon jawan hui wo,
Anjaane se pehchaane ban gaye...

Shuruat ho chali thi,
Kuch Afsaane ban gaye
Ankhon mein khwaab basne lage the,
Apne se tum ban gaye.......

Ek dhoka tha shayad wo,
Saath the magar saath na tha wo,
Hum kaise kahe ab unse,
Kya tum wahi ho...kya ab ajnabee ho....!!!!

Maine banayi thi tasveer Hawa mein
Ab  ojhal Ho Gayi kahi
Ab chubh raha hai khanjar seene mein
Bardasht nahi kar raha dard yahi.....

Comments